Saturday, June 23, 2012

GAMGEEN HAI RAHE SAFER...


gamgeen hai rahe safer, dino din
din nikle ja rahe hain, pal gin gin
ek  pal  bhi  ek  umer  ke  baraber
man mutabiq jab na ho har ek din.

dimaag yahan to dil kahin aur hai
socha kya tha, huva kya aaj ke din.

hai udan badi, lekin par hain chote
kate par mere soch ke bhi aaj ke din.

sama ek yeh bhi hai,ki hoon be bus
sama wo bhi apna thakhushi ka ek din.

hai sab sahi -galat saathi ke soch pe
hun gunehgar main aap ka,ab se har din.

eleyeceeian

No comments: