Saturday, June 23, 2012

NAAM NAHIN BADNAAM SAHI


naam nahin badnam sahi
raha nahin kisi kaam sahi
begunahi ji koi dosh nahin
sookh gaye ashq,wo hi sahi

kiya bharosa to, dil se to kar
tohmat lagana sahin nahin

chod chuke ab rishte naate
bura hona hai bahut hi sahi

rah chalton ko nahin apnaya
izzat bakash di koi dosh nahin

tum ne swari zindagi meri
us ko hi ujjaad diya ye sahi nahin

tum salamat raho ji, har dum
mar hi jayeen aub wo hi sahi

nahin mil paoonga ab marne tak
aap ne humain pehchaana nahin

nazroon se gira aap ke ab main
dukh is ka hai muje,aur kuch nahin

akhir main kehni ek baat
mera immaan hai tu,, aur sab sahi

eleyeceeian

No comments: